Phir wahi din aayega
Kuch naya keh ke
Raddi bech jayega
Halla hoga, jamawada hoga
Aatish baaji mein laxmi phunkingi
Aur kahin…
Bijali ka nanga naach hoga
Halke vajan ki jhooti kasmein hongi
Hoton ki aag se door aur
Awwal darje ki bachkana baatein hongi
Nashe ka talab samandar hoga
Madhosh jazbaaton ki
Kashti mein beh kar
Naye iraadon ka nirmaan hoga
Waqt karwat badlega
Raat, din aur mahino ke baad
Phir wahi din aayega
Kuch naya keh ke
Raddi bech jayega
No comments:
Post a Comment