phir tum yaad aa gayi
dimag ne toh bhula diya kab ka tumhe
shayad dil ki yadasth ab bhi tej hai
dabi kitabon ke beech mein chupe woh khat tumahre
mere un khaton ke saath, jo sirf lifafon mein band reh gaye
padne betha hun aaj un pankhtiyon ko
jo meine kabhi likhi thi tumahre liye
bachpana jhalkta hai un mei
ye jaanta hun mein
muskura raha hun soche ki
ki kya sochti hogi tum
lekin ab udaas hun
ye jaan kar ki
meri in bachkani baaton par
hanse ke liye tum nahi
No comments:
Post a Comment